Home .Entertainment SMS Dictionary . Ghazal SMS
Ghazal SMS

Ye aarazu hai k jab bhi gale lagaauun use
hisaar-e-zaat se baahar nikaal laauun use

vo jal raha thaa kari dhuup ki tamaazat mein
milaa jo ab to ohrhaa duungaa apani chaa'onn usey

ye ishq bhi hai ajab imtihaan-e-ahad- e-wafaa
wo aazamaaye mujhe aur main aazamaauun use

wo shahar shahar chiraagaan sahi magar ek din
hawaayein yaad dilaayeingi apnaa gaana usey

wo apne khuwaab mein shaayad mujhii ko dekhta ho
main tashnaa lab sahi sote mein kyaa jagaauun use


Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya
Har Ek Kam Hum Ne Khuda Pe Chor Diya

Woh Hum Ko Yad Rahkta Ya Bhula Deta
Usi Ka Kaam Tha Usi Ki Raza Pe Chor Diya

Us Ki Marzi Bujha De Ya Phir Jala Rakhe
Cheragh Hum Ne Jala Kar Hawa Pe Chor Diya

Us Se Baat Bhi Karte Tu Kis Tarhan Karte
Yeh Masal Dua Ka Tha Dua Pe Chor Diya

Iss Liye Tu Woh Kehte Hain Bewafa Hum Ko
Ke Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chor Diya……!! !!


Roye Hain Buhat Tab Zara Qaraar Mila Hai
Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyaar Mila Hai

Guzar rahi hai zindagi Imtehan ke daur se
Ek khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai

Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal
Gham ka khazana jo isko beshumar mila hai

Woh kamnasib hai jinhe mehboob mil gaya
Mein khushnasib hun mujhe Intezar mila hai


Main sun k uski sub batain,
Faqat itna hi kehta tha,
Khafa hona mana laina,
Yeh sadiyon say riwayat hay,
Gilay shikway karo mujh say,
Tumhain janan ijazat hay,
Magar ik baat meri bhi,
Tum yaad rakh laina,
Kabhi aisa bhi hota hay,
Hawa'ain rukh badalti hain,
Khata'ain ho hi jati hain,
Khafa hona bhi mumkin hay,
Khata hona bhi mumkin hay,
Hamaisha yaad rakhna tum,
Ta'aluq toot janay say,
Kabhi toota nahin kertay…!